Body main electrolytes ki kami se kya hota hai |
Hamari
body mein electrolytes ka bohot aham kirdar hai, inka balance hamare cells ke
tissue mai barabar hona chahiye, agar in ki tadad kam ya zyada ho
jaye dono sooraton mein nuksan deh hain.
Jis waqt hamare jism ka water level tabdeel hota hai toh
hamare jism ke andar paaya jane wala khoon is ke andar bhi electrolytes tabdeel
ho jate hain.
Body mein paaye jane wale aham electrolyes
Sodium
Potassium
Magnesium
Chloride
Calcium
Phosphate
Ye tamam hamare jism mein paaye jate hain aur in sab ka
body mein apna alag alag kirdar hota hai.
Sodium
Sodium hamare jism se Sakht maadon, gurdo ki pathri aur
uric acid ko kharij karta hai, ye
khattas ko khatam karta hai, ye hi wajha hai kah doctor bad hazmi aur khatti
dakaron mein soda khaltay hain.
Yad rakhein kah jism mai 50% sy zyada bimariyan khattas se
paida hoti hein. Is liye khoon mai sodium ka kafi miqdar mein hona bohot
zaroori hai. Ye hamare pathon ko mazboot karta hai, danton aur haddiyan ko
kharab hone se bachata hai, hazma kea mal durust aur taaz karta hai.
Sodium ki kami ki wajha se insan ka wazan kam hone lagta
hai, haddiyan kamzoor aur jism kharab hota chala jata hai, har waqt bad hazmi
rahti hai koi bhi cheez kahne ko dil nhi karta.
Gajar, Seb, Kheera, Palak, Anjeer, Alo Bukhara, Mooli aur
Strawberry, in tamaam cheezon mein sodium paaya jata hai hamein in mai se koi
na koi cheez har roz zaroor khani chahiye.
Potassium
Potassium namkiyat ki aik qisam hai, ye cell ke andar
rahne wala electrolytes hai jis pe positive charge bhi hota hai. Ye hamare high
blood pressure ko bhi control karta hai aur dil ki kai bimariyon ko bhi door
karta hai.
Agar potassium
hamare jism mai kam ho jaye toh pathon mein kamzoori hona shuru ho jati hai,
inmein kam karne ki salahiyat nhi rahti juldi thakawat ho jati hai, karel parte
hain aur pure jism mai dardein hoti hein. Agar ye bohot zyada barh jaye yak am
ho jaye dono halat mein dil ke band hone ka khatra barh jata hai.
Potassium ki kami ko pura karne wali ghizayen, Malta,
Kela, Dahi, Shakar Qandi aur palak , ye sab woh ghizayen hain jin se hum
apni potassium ki kami ko pura kar sakta hain. Hamein in sb cheezon ko apni
khorak mai lazmi shamil rakhna chahiye.
Body main electrolytes ki kami se kya hota hai |
Magnesium
Magnesium aik aisa minral hai jo hamare pathon ko taqat or
relex rakhta hai, is ki kami se hamare jism ke andar bohot sare masail paida ho
jate hain, jaise kah neend ka kam aana ya bilkul na aana, jaron ka dard, bad
hazmi ka hona ya khane ke fori baad qay aana, bhook ka na lagna, kaam karne ko
dil nhi karta.
Is mein sab se bara masla ye hota hai kah insam ka face
expression khatam ho jata hai face pe gum ke tasurat nazar aate hain, insan
pareshan pareshan sa mehsoos hota hai log ise zehni mareez kahte hain jabke
asal baat ye ha kah is mein magnesium ki kami hoti hai.
Magnesium ki kami ko pura karne ke liye jo sab se barhi
cheez hai woh shaljam ye sab se bara Khazana hai jo is minral ki kami ko
kafi had tak pura karta hai. Is ke ilawa moong ki daal bhi kafi faida mand hai.
Agar ap ne aik normal se zyada kam karna hai aur ap ko kafi
magnesium ki zaroorat hai toh ap lo lehsan khana chahiye, ye ap ke minral ko 10
se 15 mint mai charge kr da ga aur kam ke duran bhi ap ko kisi kisam ki
thakawat nhi hogi.
Chloride
Ye bohot sare
doosre minral se mil kar kaam karta hai, ye hamare fluid aur blood mai rahta
hai. Ye hamare jism se paseena ya urine ke zariye kharij ho jata hai, is ke
ilawa bohot zyada qay hone ki wajha se bhi kharij ho jata hai. Ye hamare maday
ko active karta hai.
Cloride ki kami ki wajha se hamare pathain kamzoor ho
sakte hain aur blood pressure low ho sakta hai.
Agar ye hamare jism mai barh jaye toh bhi hamare liye
masla paida kar sakta hai, jaisa ke BP ka barh jana aur gurdun ka fail hona. Ya
is waqt hata hai jab hum bohot zyada namak ka istimal karte hain.
Hamein apni khorak mai phal aur sabziyan ka istimal zyada
karna chahiye.
Calcium
Calcium hamari haddiyan aur danton ke liye bohot zaroori
hai kyu ke 99% calcium inhi hisoan mein paaya jata hai.
Calcium ki kami ki alamaat mein tangon aur bazon mein dard
ya pura jism mein bohot zyada thakawat mehsoos hona, chakkar aana, aankhon ke
aage dhund ka aajana, cheezon ka bhool jana, nakhun khushk ho jate hain aur
baal girna shuru ho jate hain.
Jism mein calcium ki kami ke asbaab
1.
Calcium ki kami ghiza
2.
Umar ka barh jana
3.
Steroid medicine ka zyada istimal
Calcium ki kami ko pura karne ke Tareeqay
Calcium ki kami mai zyada se zyada pani pena chahiye. Ande aur doodh ka ka istimal lazmi karna chahiye aur sath mein machli is mein sab se zyada elements paaye jate hain jo hamari kafi had tak kami ko pura karti hai.
Phosphate
Ye aik namkiya ka hissa hai jo hamrare jism ke tamam cells
ke andar paaya jata hai, ye jism ke andar indhan ka kaam karta hai is ki kami
aur barh jana dono nukdsan deh hote hai. Phosphate barhne ki kai wajuhat ho
saktri hain, jis mein pait saaf karne wali medicine, gurdun ka kharab ho jana,
kuch logon ke andar (tumer) hota hai jis ko hum rasoli kahte hain is ko khatam
karne ke liye medicine istimal ki jati hain jis ki wajah se who rasoli phat
jati hai aur phosphate is mai se nikal kar body mai barh jata hai. RBC cells ke
phatne se bhi ye barh jate hai.
Phosphate ki kami se haddiyan or pathon pathain kamzoor ho
jate hain, jisam ke andar calcium ki kami ho jati hai, sari body mein dardein
hoti rahti hain.